Rango ki duniya mein doob kar
Main ek pyaari si titali baan jaati hun
Duniya ke logo ke hath mein aakar
Unke hathon ko hi rangeen bana jaati hun.
Taaro se bhare asmaan mein
Main ek chand jaise khil jaati hun
Dharti par baithe haar insaan ke chehre par
Ek pyaari si muskaan chodh jaati hun
Gudiyon ka khel khelte khelte
Main khud hi ek choti si gudiya baan jaati hun
Sabko aapni masom ankhon se dekh kar
Sabka maan behla jaati hun
Bachoon ke sath khel khel kar
Main khud hi ek bacchi baan jati hun
Aapni masoom zidd kar ke
Aapni har baat manwati chali jati hun
Pariyon ki kahani sunte sunte
Main khud hi ek pari banna chahti hun
Kyunki mujhe pata hai ki
Kissie ko main pari roop mein bahut pasand aati hun
Kavitaon ko likhte likhte
Main khud ek kavita baan jati hun
Tabhi to aapne dil ki isse ananat soch ko
Tumhe sabdo mein likh ke sunati hun………….