Tuesday, January 12, 2010

Thami hui Dhadkan

Phoolon ki mehek udti nahi hai
Chehre ki muskaan kabhi thamti nahi hai
Zindgi ek pal bhi kyun rukti nahi hai
Sagar kobharna chahti hai seep
Lekin ussi sagar ko moti de jaati hai
Moti ko dete waqt
Sagar ko kyun samet nahi pati hai
Jo ankhen dusro ke dil ko padhti hai
Kyun uss nazare ko sama nahi paati hai
Aaj usski ankhon ko padh ke
Wo aapne dil mein nahi basa paati hai
Sagar ki lehre reth ko humare pass le aati hai
Kore pairon se chalne mein ananad dilate hai
Lekin jab bhi pakadna chaho
Sirse reth apni hatheliyon se fisal jaati hai
Jab bhi wo hath uthati hai
Uss akele tare ko apne bahut kareeb paati hai
Lekin wo komal muthiyan
Usse kyun nahi pakad paati hai….

2 comments:

नारी तुम अद्भुत हो

सरल और साधारण हो निर्भिक और निर्मल हो शूल भरे पथ पर पुष्प बिखर सकती हो अतुलनीय साहस से परिपूर्ण हो नारी तुम अद्भुत हो . दया और विश्वास ...