Friday, February 26, 2010

Samarpan

Suraj ka akrosh hai ussme
To wo chand ki tarah usse le leti hai
Tabhi to raat mein usse akrosh ki thandak ko ujaale mein badal kar
Sabko apna pyaar deti hai…..

Wo tofan se bhi zayada teever
To wo gufa ki tarah usse apne andar sama jaati hai
Tabhi to wo aapne usse toofan ko
Shaant kar ke thandi hawa mein badal deti hai……

Wo ek atoot vishwas hai
To wo moom ki tarah pighal jaati hai
Tabhi to wo aapne isse atoot vishwas ko
Aapni pighli hui moom laga kar aur bhi pakka bana deti hai…….

Aapni galti ko kabhi na maane wo
To wo dusro ki galti mein bhi jhuk jaati hai
Tabhi to wo usski haar zidd ko maan kar
Chup chap usse sach bana deti hai……

Agar karele ki tarah hai wo kadwa
To wo gudh ke jaisi meethi baan jaati hai
Tabhi to usski kadwahat kosabko khilakar
Sabke rogo ko mitta deti hai……..

No comments:

Post a Comment

नारी तुम अद्भुत हो

सरल और साधारण हो निर्भिक और निर्मल हो शूल भरे पथ पर पुष्प बिखर सकती हो अतुलनीय साहस से परिपूर्ण हो नारी तुम अद्भुत हो . दया और विश्वास ...