Monday, January 11, 2010

Khamoshi

Khidki pe baithe hue
Asmaan ke use adhure chand ki jhalak dikh jaati hai
Hawa ki wo sar sarahat
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Aadhi raat hote hi
Sabki ankhon mein nindiya ki parat dikh jaati hai
Jugnuo ki gun gunahat
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Door se bhi dekhne se
Usse shamshan mein wo chita dikh jaati hai
Wo insaan ki garmahat
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Palko ko band karte hue
Kissie ki wo muskurahat dikh jaati hai
Dil ki wo masoom dhadkane
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Subh uthte hi Suraj ki wo pheli kirane dikh jaati hai
Paanchiyon ki wo pheli chehak
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Usse awaz ko tarasne pe bhi
Unn ankahe shabdo ki tamana dikh jaati hai
Kuch kahe bina hi sab kuch bolne ki wo ada
Usse khamoshi ka ehsaas dilate hai......

No comments:

Post a Comment

नारी तुम अद्भुत हो

सरल और साधारण हो निर्भिक और निर्मल हो शूल भरे पथ पर पुष्प बिखर सकती हो अतुलनीय साहस से परिपूर्ण हो नारी तुम अद्भुत हो . दया और विश्वास ...