Har ek boond barsaat ki
Meri dhadkan main sama jaati hai
Meri pehchan pe cha jaati hai
Guman ko yakeen ka roop deti hai
Zindagi ko chaon dhoop deti hai
Chupa jaati hai kahani usse pal ki
Har ek boond barsaat kiek nayi umang deti hai,
Apne berung rang main rang deti hai,
Bhego deti hai ehsaas ko,
Mehaka deti hai har baat ko
Har ek boond barsaat ki
Kabhi rotey dil ko hassa jaati hai
Kabhi hasste dil ko rula jaati hai
Kar deti hai bayan kahani mere jazbaat ki
Har ek boond barsaat ki
Badha jaati hai pagal pan mera
Behlaa jaati hai behka man mera
Chand ki tarah saja deti hai mere ehsaaso ko
Har ek boond barsaat ki
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
नारी तुम अद्भुत हो
सरल और साधारण हो निर्भिक और निर्मल हो शूल भरे पथ पर पुष्प बिखर सकती हो अतुलनीय साहस से परिपूर्ण हो नारी तुम अद्भुत हो . दया और विश्वास ...
-
Phoolon ki mehek udti nahi hai Chehre ki muskaan kabhi thamti nahi hai Zindgi ek pal bhi kyun rukti nahi hai Sagar kobharna chahti hai seep ...
-
Bholi bhali surat wali Sayani si main ladki hun Bahurangi hokar bhi yaaron Paani si main ladki hun Kabhi hasske baatein karti hun Kabhi shar...
-
सरल और साधारण हो निर्भिक और निर्मल हो शूल भरे पथ पर पुष्प बिखर सकती हो अतुलनीय साहस से परिपूर्ण हो नारी तुम अद्भुत हो . दया और विश्वास ...
No comments:
Post a Comment