Tuesday, January 12, 2010

Thami hui Dhadkan

Phoolon ki mehek udti nahi hai
Chehre ki muskaan kabhi thamti nahi hai
Zindgi ek pal bhi kyun rukti nahi hai
Sagar kobharna chahti hai seep
Lekin ussi sagar ko moti de jaati hai
Moti ko dete waqt
Sagar ko kyun samet nahi pati hai
Jo ankhen dusro ke dil ko padhti hai
Kyun uss nazare ko sama nahi paati hai
Aaj usski ankhon ko padh ke
Wo aapne dil mein nahi basa paati hai
Sagar ki lehre reth ko humare pass le aati hai
Kore pairon se chalne mein ananad dilate hai
Lekin jab bhi pakadna chaho
Sirse reth apni hatheliyon se fisal jaati hai
Jab bhi wo hath uthati hai
Uss akele tare ko apne bahut kareeb paati hai
Lekin wo komal muthiyan
Usse kyun nahi pakad paati hai….

Monday, January 11, 2010

Khamoshi

Khidki pe baithe hue
Asmaan ke use adhure chand ki jhalak dikh jaati hai
Hawa ki wo sar sarahat
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Aadhi raat hote hi
Sabki ankhon mein nindiya ki parat dikh jaati hai
Jugnuo ki gun gunahat
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Door se bhi dekhne se
Usse shamshan mein wo chita dikh jaati hai
Wo insaan ki garmahat
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Palko ko band karte hue
Kissie ki wo muskurahat dikh jaati hai
Dil ki wo masoom dhadkane
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Subh uthte hi Suraj ki wo pheli kirane dikh jaati hai
Paanchiyon ki wo pheli chehak
Usse khamoshi ka ehsaas dilati hai
Usse awaz ko tarasne pe bhi
Unn ankahe shabdo ki tamana dikh jaati hai
Kuch kahe bina hi sab kuch bolne ki wo ada
Usse khamoshi ka ehsaas dilate hai......

Bigdi Shehzadi

"naa suraj ki kiran se jage!
naa chandni raat me sone wale hai!
hum to hai ek choti si khusi,
jo chukar sabke gam mita dene wale hai...
“baarish ki pari “ko baarish me jaane se na roko ,
naa to hum kisi ke liye badle hai,
aur naa hi badlne wale hai!
aazadi ka hum daman pakde,
aachal ka kyu kare lihaaj,
vadio ki ghatao se kash sun le wo meri awaj...
subah hum der se jage..
raat ko der se jo sone wale hai,
are naa hum kisi ke liye badle or naa hi badlne wale hai!
“chuii-muyii”sab kehte hai,
laad se ghar me rehte hai,
“pari” hai tu! bas kami hai ye lag jaye "parr" kehte hai.
gulam nahi kisi ke hum, jo isaaro pe chalne wale hai,
naa hum kisi ke liye badle or naa hi badlne wale hai.....!!!!!

Barish ki boond

Har ek boond barsaat ki
Meri dhadkan main sama jaati hai
Meri pehchan pe cha jaati hai
Guman ko yakeen ka roop deti hai
Zindagi ko chaon dhoop deti hai
Chupa jaati hai kahani usse pal ki
Har ek boond barsaat kiek nayi umang deti hai,
Apne berung rang main rang deti hai,
Bhego deti hai ehsaas ko,
Mehaka deti hai har baat ko
Har ek boond barsaat ki
Kabhi rotey dil ko hassa jaati hai
Kabhi hasste dil ko rula jaati hai
Kar deti hai bayan kahani mere jazbaat ki

Har ek boond barsaat ki
Badha jaati hai pagal pan mera
Behlaa jaati hai behka man mera
Chand ki tarah saja deti hai mere ehsaaso ko
Har ek boond barsaat ki

Anjaani ladki

Bholi bhali surat wali
Sayani si main ladki hun
Bahurangi hokar bhi yaaron
Paani si main ladki hun
Kabhi hasske baatein karti hun
Kabhi sharma ke chali jaati hun
Kabhi fir aane ke waade
Deewani si wo ladki hun
Ganga si wah pawan hun
Kabhi basant to kabhi sawan hun
Meri desh ki sanskriti ki
Nishani si main ladki hun
Kabhi kalpana si ho jaati hun
Kabhi ashru baan kar tadpati hun
Kabhi door desh ki pariyon ki kahani si main ladki hun
Nitya naye roop badalti hun
Balkha ke tumko chahlti hun
Jaan ke bhi yaaron dekho
Anjaani si main ladki hun......

नारी तुम अद्भुत हो

सरल और साधारण हो निर्भिक और निर्मल हो शूल भरे पथ पर पुष्प बिखर सकती हो अतुलनीय साहस से परिपूर्ण हो नारी तुम अद्भुत हो . दया और विश्वास ...